Logo

||~S & L~|| = our space!!

use maine hi likha tha
ke lehje baraf ho jain to pigla nahi karttay
parinde darr ke ud jayein to phir louta nahi karte
use maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayad kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan kabi barish nahi lata
use maine hi likha tha
ke sheesha toot jaye to kabi phir jud nahi pata
jo raste se bhatak jaye woh wapis mud nahi pata
use kehna adhura khat use maine hi likha tha
use kehna ke deewane mukkamal khat likha nahi karte


Posted on 3/13/2009 12:25:24 AM

dil ki lagi ko aur vo bhadka rahe hain aaj
khud hi khud bahaar bane jaa rahe hain aaj
jaise ke ho raha hai aftaab-e-naaz
kuchh aisi shaan se vo chale aa rahe hain aaj
thukra ke iltija ko paa-e-gurur se
armaanon kaa vo khoon kiye ja rahe hain aaj
vo pyaar ki fizayein vo rangin sohbatein
manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hain aaj
yaron gila karein bhi to kis baat ka karein
apne kiye ki aap saza pa rahe hain aaj


Posted on 3/13/2009 12:25:30 AM

rah-e-ashiqui ke maare rah-e-aam tak na pahunche
kabhi subah tak na pahunche kabhi shaam tak na pahunche
mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast teri
mera haath kya nazar bhi kabhi jaam tak na pahunche
mujhe apni bekasi ka nahin gham khayaal ye hai
kahin baat badhte badhte tere naam tak na pahunche
jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
vo hayaat-e-aashiqui kya jo davaam tak na pahunche
ye anokhi barhami hai ke na bhule se labon par
basabiil-e-tazkira bhi mere naam tak na pahunche
kahin is tarah bhi ruuthe na kisi se koi yaron
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahunche


Posted on 3/13/2009 12:25:39 AM

Ya to mit jaiye ya mita dijiye
kijiye jab bhi sauda khara kijiye
ab jafa kijiye ya wafa kijiye
aakhari waqt hai bas dua kijiye
apne chehre se zulfen hata dijiye
aur phir chaand ka samna kijiye
har taraf phool hi phool khil jaayenge
aap aise hi hansate raha kijiye
aap ki ye hansi jaise ghungru baje
aur qayamat hai kya ye bata dijiye


Posted on 3/13/2009 12:25:47 AM

kuchh na kuchh to zaroor hona hai
samna aaj unse hona hai
todo, phenko, rakkho, karo kuchh bhi
dil hamara hai kya khilona hai
zindagi aur maut ka matlab
tum ko pana hai tum ko khona hai
itna darna bhi kya hai duniya se
jo bhi hona hai vo to hona hai
uth ke mehfil se mat chale jana
tum se roshan ye kona kona hai


Posted on 3/13/2009 12:25:53 AM

Wo ke har ahd-e-mohabbat se mukarta jaye
dil vo zaalim ke usi shakhs pe marta jaye
mere pehlu mein vo aaya bhi to khushbuu ki tarah
main use jitna sametuun vo bikharta jaye
kyon na hum usko dil-o-jaan se chaahein aye dost
vo jo ek dushman-e-jaan pyaar bhi karta jaye


Posted on 3/13/2009 12:26:00 AM

Is raah-e-mohabbat mein tu saath agar hota
har gaam pe gul khilte khushbu ka safar hota
uthta mere pehlu se vo mehr-e-shanasai
ik roz to aisa bhi aaghaaz-e-sehar hota
ashq-e-sar-e-mizgaan ko chun leta vo palkon se
ik roz to aisa bhi dida-e-tar hota
ye tark-e-talluq ki sun lete nasihat bhi
humsa jo koi uska mehboob-e-nazar hota


Posted on 3/13/2009 12:26:06 AM

Chandni Chhat Pe Chal Rahi Hogi,
Ab Akeli Tahel Rahi Hogi,
Phir Mera Zikr Aa Gaya Hoga,
Wo Barf Si Pighal Rahi Hogi,
Kal Ka Sapna Bahut Suhana Tha,
Ye Udaasi Na Kal Rahi Hogi,
Sochta Hoon Ke Band Kamre Mein,
Ek Shama Si Jal Rahi Hogi,
Tere Gehno Si Khan Khanati Thi,
Baajre Ki Fasal Rahi Hogi,
Jin Hawaon Ne Tujhko Dular Aaya,
Un Mein Meri Gazal Rahi Hogi.


Posted on 3/13/2009 12:27:56 AM

Ab ke barish mein bhi kya baat hai
Har boond jaise ek mulakaat hai
Bheega badan tumhari baahon ko tarse hai
Mua baadal! Anjaan banke barse hai


Posted on 3/13/2009 12:28:13 AM

KHAMOSH SE REHNE LAGE HO
INTEZAAR KISI KA KARNE LAGE HO
YAKINAN KISI SE HO GAYI HAI MUHABBAT
TABHI BINA BAAT HI MUSKURANE LAGE HO
DEKHO FIR MUSKURA DIYE


Posted on 3/13/2009 12:28:19 AM

TERE PYAR NE ZINDAGI SE PEHCHAN KARAI HAI
MUJHE WO TOOFANO SE PHIR LAUTA KE LAYI HAI
BAS ITNI HI DUA KARTE HAIN KHUDA SE HUM
BUJHE NA YE SHAMA KABHI JO HUMNE JALAI HAI


Posted on 3/13/2009 12:28:33 AM

PHOOLON SE PUCHHO ISME SINGAR KITNA HAI
MERE DIL SE PUCHHO ISME PYAR KITNA HAI
SAAYE KI TARHA TUMHARA PYAAR SAATH REHTA HAI
TUMHARE SAATH GUZRA HUA HAR LAMHA YAAD REHTA HAI


Posted on 3/13/2009 12:28:39 AM

kisi ki khatir qarar khona
koi sunega to kya kahega
yun uth uth ke tera raton ko rona
koi sunega to kya kahega
bhanwar mein mujh ko chhod jate
to phir bhi tum par baat na ati
yun la kar sahil pe dubona
koi sunega to kya kahega


Posted on 3/13/2009 12:28:49 AM

MERE DIL KI KITAB KO PADHNA KABHI
SAPNO ME AAKE MUJH SE MILNA KABHI
MAINE DUNIYA SAZAI HAI TERE LIYE
MERI NAZRO KI UMMED BANNA KABHI
BAHUT DOOR HAI SITARO SE ROSHAN JAHAN
JARA HUMKADAM BANKE MERE SAATH CHALNA KABHI
BAHUT NAZUK SEENE ME DIL HAI MERA
TUM ANDAZ-E-MUHABBAT BANKE DHADAKNA KABHI
SAPNO ME AAKE MUJH SE TUM MILNA KABHI


Posted on 3/13/2009 12:28:55 AM

Mujhse apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh se yeh iqrar kabhi wapas mat lena
Kehti rehna mujh ko-har pal main teri hoon
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena
Aankhein roshan rakhna apni yadon se
Mujh se yeh deedar kabhi wapas mat lena
Khushboo ban kar basna mere tan man mein
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena


Posted on 3/13/2009 12:29:01 AM

Baat tab ki hai jab husn parde mein rehta tha,
aur ISHQ use dekhne ke liye khuda se fariyad kiya karta tha
"Ae khuda hawa ka ek jhonka aaye aur woh benakaab ho jaye"
ek din ISHQ guzar gaya aur HUSN uski Qabar par phool chadhane gai
jaise hi HUSN jhuki Hawa ka jhoka aaya aur HUSN benakaab ho gayi
Tab Qabar se yeh aawaz aii
"AE KHUDA - Yeh kaisi teri khudai hai, aaj ham parde mein hai aur woh benakaab aayi hai"


Posted on 3/13/2009 12:29:06 AM

dar dar bhatakte hai arman ki tarha
har koi milta hai anjaan ki tarha
iss duniya se khushi ki aas kya rakhni
yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha
Tumhe jab kabhi mile fursatein mere dil se naam utar do
Main bohat dino se udaas hoon mujhe ek shaam udhar do
Mujhe apne rang me rang do mere sare zang utar do
Mujhe apne rang ki dhoop do ke chamak sake meri khal
Kisi aur ko mere haal se garz hai na wasta
Main bikhar gayi hoon samet lo main bigad gayi hoon sanwar do
Tum ko kaisi lagi sham meri khawahishon ke dedar ki
Jo bhali lage to inko chahat se nikhar do
Wahan ghar me kon hai muntazir ke fikar ho der sawer ki
Badi muhtasir si ye raat hai ise chandni me guzaar do
Main bohat dino se udaas hoon mujhe ek shaam udhar do


Posted on 3/13/2009 12:29:17 AM

unse nain mila kar dekho
yeh dhoka kha kar dekho
doori mein kya bhed chhipa hai
iski khoj lagakar dekho
kisi akeli shaam ki chup mein
geet purane gaakar dekho
aaj ki raat bahut kaali hai
soch ke deep jala kar dekho
jaag jaag kar umr kati hai
neend ke dwaar hilakar dekho


Posted on 3/13/2009 12:29:22 AM

pyaar ek saahil hai toofano ke liye
pyaar aaina hai armano ke liye
pyaar ek mehfil hai anjano ke liye
pyaar ek khawaish hai apno ko pane ke liye
yeh pyaar ek puja hai zindagi ke liye
is puja ko yu ruswa na kijiye khuda ke liye


Posted on 3/13/2009 12:29:27 AM

aaj humne chand pighalte hue dekha
girte hue pallu ko sambhalte hue dekha
ajeeb rang ke phool khile hai ab ke bahar mein
har phool tere samne dhalte hue dekha
ashq kahan kho jate hai kya maloom
humne tou dard mandon ko behelte hue dekha
samunder ke kinare ek chhota sa ghar ho
angan mein mujhe usne tehelte hue dekha
har woh din phir Id kar li maine
jab jab tujhe raat nikalte hue dekha


Posted on 3/13/2009 12:29:32 AM

mohabbat guzre lamho ka fasana yaad kar baithi
tamanna aise mein teri humein nashaad kar baithi
zamana sadiyon se ulfat ko dushman tak dekha hai
murade mangne aao khuda napaak dekha hai
shararat chup ke gairat mein wafa barbaad kar baithe
tamanna aise mein teri humein nashaad kar baithi
sabhi begana kehte hai sahara kaun de humko
jawani bata ke gardish mein guzara kaun de humko
kisi pe haq nahi apna garaz azad kar baithi
tamanna aise mein teri hum nashaad kar baithi
shamma pe jalte parwanon ki turbat benishan payi
lootakar dil ke armaanon ko hamari aankh bhaayi
muqaddar zindagi ke ghum kaja ke daad kar baithi
tamanna aise mein teri humein nashaad kar baithi


Posted on 3/13/2009 12:29:38 AM

Mujh se apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh se yeh iqrar kabhi wapas mat lena
Kehti rehna mujh ko har pal main teri hoon
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena
Aankhein roshan rakhna apni yaadon se
Mujh se yeh deedar kabhi wapas mat lena
Khushboo ban kar basna mere tan man mein
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena


Posted on 3/13/2009 12:29:48 AM

usne kaha bas itni mulaqat bohaut hai
ro ro ke kaha thehro abhi raat bohaut hai
aansoo mere thum jaaein to phir shouq se jana aise mein kahan jaoge barsaat bohat hai


Posted on 3/13/2009 12:29:53 AM

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil mein chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chhod diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayina-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi


Posted on 3/13/2009 12:29:58 AM

is se bada sabar ka saboot main tujhe kya deta
tu mujh se lipat kar roti rahi wo bhi kisi or ke liye


Posted on 3/13/2009 12:30:03 AM

badal odh ke guzrunga main tere ghar ke aangan se
qos-e-qaza ke sab rangon mein tujh ko bheega dekhunga
raat gayi jab chand sitare mitti khalenge
aadhi neend ka sapna bann ke main bhi tum ko chhoo lunga
be mosam barish ki soorat der talak aur door talak
tere diyar-e-husan pe main bhi kin min kin min barsunga.


Posted on 3/13/2009 12:30:13 AM

Khushi bhi doston se hai
Gham bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyaar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai
Khwab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai
Ya yun kahun yaro
Apni to duniya hi doston se hai


Posted on 3/13/2009 5:18:39 AM

Dosti ki hai tum se
toh phir se jeene ki Tammanna jaag uthi hai
seh rahe the najane kitne ghamo sitam
un sab ko bhulane ki baat aa chuki hai
jaagi hai ye aankhe najane kitne arse se
ab Aaram se soone ki Raatein aa chuki hai


Posted on 3/13/2009 5:18:45 AM

Main ye nahi kehta ki dost mat banao
Par apni us dosti mein khud ko naa bhul jao
Mil jayega dhoka jaane kis raah pe
Isliye ae dost, dost apni ruh ko banao


Posted on 3/13/2009 5:18:51 AM

Bheegi aankhon se muskurane me mazaa aur hai
hanste hanste palkein bhigaane me mazaa aur hai
baat kehke to koi bhi samajh leta hai
par khamoshi koi samjhe to mazaa aur hai


Posted on 3/13/2009 5:19:02 AM