Aadmi aadmi se milta hai woh hai dosti
Dost dost se milta hai woh hai pyaar
Pyaar pyaar se milta hai woh hai khushi
Khushi khushi se milti hai woh hai aaitbar
AAJ DIL POOCHH BAITHA
APNI HI TASVEER SE
TUNE KYA PAYA HAI
APNI IS TAQDEER SE
AAPKI TASVEER DIL KE AAINE KO DIKHAI
OR KHA AISA DOST PAYA HAI
DUNIA KI BHEEAD MEIN
Apni zindagi me hume sharik samajhna
koi gam aaye to karib samajhna
de denge muskurahat aansuon ke badle me
lekin hazaro dosto mein hume thoda aziz samajhna
Kaun kehta hai ki log dosti me begane ho jate hain
Kaun kehta hai ki log dosti me barbad ho jate hain
Humse poocho kaun naadan log aisa samajhte hain
Ye wohi log hain jo sirf dosti me apne ko jarurat se jayada chalak samajhte hain
DIL dil se juda nahin hote
yeh kisi par fida nahin hote
pyaar se bada koi nahin hota
pyaar se bada to dosti ka rishta hota hai
kyun ke dost bewafaa nahin hote
laakhon ki sun kar tum ne taqdir savari hai
mujh se yahi kah dete ab ke teri zarurat nahi hai
Daali hai nazar jab se ek nashaa sa taari hai
kya koi pari shishe mein utari hai
kya us ko raaz ayenge jannat key hasi jalve
dehliz tere dar ki jis shakhs ko pyaari hai
virasat mein mili hum ko shaahi bhi faqiri bhi
aur gam to goya jagir hamari hai
shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain
phoolo ke chehro se kushboo ke moti bikharte hain
hawao ki rawani se aati hai sargam kar rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai
pairon ke kitaron mein phir thandak bansane aati hai
jab suraj se mil kar sham suneheri ho jati hai
kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain
par dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain
zindgi ki tanha lehron mein jo dosti ke moti pirote hain
voh phoolon ki traha dil ki rahon ko mehkate hain
Karne Ke Liye dosti
Har Baar Kehta Hun Aap Ko
Ik Tum Aisi Ho
Ki Samajhti Nahi Mere Dil Ke Jazbaat Ko
Kyun Milti Ho Din Mein Mujhe
Kyun Satati Ho Raat Ko
Iss duniyaa ki bheed me bahut se yaar milenge
hum kya hum se bhi achhe hazaar milenge
in achhon ki bheed me hume bhula na dena
hum kahaan app ko baar baar milenge
Hum to yunhi behkudhi me keh baithe
ki hume koi yaad nahi karta
jis ka ho aapke jaisa pyaara dost
vo kabhi kudha se bhi fariyaad nahi karta
Neend me khwab ki pyaas hai zindagi
ho nzariya toh bindaas hai zindagi
Zism ke rukh me zindagi kuchh bhi ho
Dil ke nazaro me ek ehsaas hai zindagi
Ahamiyat pyaar ki kya kahen aapse
Pyaar hai toh bas mere paas hai zindagi
Paas hokar bhi jo door hai aaj tak
Aise rishto se hi kuchh khaas hai zindagi
Tooti ummeeden fir se judne lagi hain
Har kadam ek nai aash hai zindagi
in sitaaron me ek Dost mil gaya
Verna toh kala aakaash hi hai zindagi
Insaan jab is jahan mein aya uske pass gam tha
Aur jab is jahan se gaya tau uske pass gam tha
Khushi usne jis lamhe ko samajha aye rab
Dar-asal tab uske gam ka ehsas kam tha
har koyi saath ho ye zarori nahi hota
jagah to dil mein banayi jati hai
pas ho kar bhi dosti itni atoot nahi hoti
jetni ke door reh kar nibhayi jati hai
Kya ek dusre ko samajhna hai
Ya phir aasani se koi baat kehna hai
Ya shayad ek dusre par bharosa karna hai
Ya phir kisi begane ko apna karna hai
Kabhi uski baat par hasna hai
Toh kabhi usi baat par sochna hai
Kabhi baar baar milna hai
Aur kabhi bina mile dil ka haal batana hai
Kuch aur nahi ye DOSTI hi hai
Jisne dhaagon mein dilon ko piroya hai
Khwaabon Khayal HaQeeQat Nahi Hote,
Rang Sabhi Pakke Nahi Hote,
Log Duniyake Sabhi Sachhe Nahi Hote,
Dost Ehbaab Jaise Bhi Ho Achhe Nahi Hote,
Khud Ka Matlab Nikal Jaye To Muh Lete Hai Mod,
Bachhe Bhi Aajkal Bachhe Nahi Hote,
Khushiyan To Pal Bhar Ki Hai Ab Samajh Aya,
Gam Ke Lambe Dhaage Kachhe Nahi Hote,
Aye Dost Sambhal Ja Tu Ab Is Bazm Mein,
Is Bazm Mein Log Apne Nahi Hote.
Aaj Ehsas Ke daman me gira Ke dekho
Dosti Kitni sacchi hai dil laga ke dekho
aapko bhool kar kya hogi dil ki halat
kisi aaine par patthar gira ke dekho
YAAD AAYE KABHI TO AANKHE BAND MATT KARNA
HUM NA MILE TO KABHI GHUM MATT KARNA
YE JAROORI NAHI KI HUM HAMESHA SAATH RAHEN
PAR DOSTI KA EHSAAS KABHI KAM MATT KARNA
TUM HO TO MUJHE SAB SILSILE ACHHE LAGTE HAIN
MUJHE TUMHARI DOSTI KE HAR GILEY ACHHE LAGTE HAIN
BAHUT DOOR TAK JANA PAR LAUT BHI AANA
MUJHE TUMSE TUMHI TAK FAASLE ACHHE LAGTE HAIN
tumhari dosti nawazi mein gehraayi hoti
zameen toot ke taaron pe gir gayi hoti
bahut se log pareshan ho gaye hote
jo baat sach thi woh kahi gayi hoti
khushi ne thik kiya jo humse door door rahi
humare paas jo aati to ro padi hoti
tujhe bhi log humari tarah samajh lete
humare jaiso ki teri agar dosti hoti
main roshni ke sarabon se to bachi rehti
naseeb mein jo jara aur teergi hoti
EK ALAG PEHCHAN BANANE KI AADAT HAI
ZAKHM HO JITNA GEHRA MUJHE UTNA MUSKURANE KI AADAT HAI
HUM SAB KUCHH BHULA DETE HAIN DOSTI ME
KYUNKI HUME DOSTI NIBHANE KI AADAT HAI