~kOoLeSt1 poetry Colloection~

49817 views 686 replies
Reply to Topic
kOoLeSt1

Age: 124
Total Posts: 5559
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko,
Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga,
Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo,
Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
Tumhari har adaa ka kya jawab du
Apne pyaar ko kya upahaar du
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
lahu bhi kam pada to ashkon ki syahi se usse khatlikha,

zaalim ne kora kagaz samajh ke phaad diya...
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
Baaki kuch na raha zamaane mein
Jawani guzar rahi mehkhaane mein

Ab to karle mere pyaar pe yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan
us raah se kisiko gujar ne na diya
Posted 31 Mar 2007

Afghan says
bahut khoob bro
wasalam...
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
thanks jeeee

thanks a lot
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
ZAKHMO KO APNE SEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
AANKHON SE TERI PEE LU AGAR TUM IZAZAT DO,
MAR TO JALDI HI JAUNGA, THODA SA JEE LU AGAR TUM IZAZAT DO
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
Ek lamhe me zindagi savar di,
Ek lamhe me unhone zindagi ujad di,
Kusur unka nahi hamara tha
Jo un do lamho me hamne zindagi guzardi
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
Juda kissi say kissi ka garz habib na ho,
Yeh wo daag hai jo dushman ko bhi naseeb na ho.
Posted 31 Mar 2007

~tasha~ says
good work
Posted 31 Mar 2007

kOoLeSt1 says
thanksa a lot dear
Posted 01 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Hansna Hamara Kesi Ko Gowara Nahi hota. Her Musafir Zindagee ka Shara nahi hota.
Miltey hia bohat se loog is tanha Zindadee main Her kiu DOST aap sa Piraya nahi hota.
Posted 01 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Hausale itane buland the ke
har gum ko sah gaye
bus sah na sake ek tera gum
toot ke hum rahe gaye
Posted 01 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Kash ye zalim judai na hoti, rub tune ye chiz banai na hoti.
Na hum unse milte na pyar hota, zindagi jo apni thi parai na hoti.
Posted 01 Apr 2007

FANTASTIC START!!!
Posted 01 Apr 2007

kOoLeSt1 says
thankssssssssss je
Posted 02 Apr 2007


Nice Sharing

Posted 02 Apr 2007

welks ji
Posted 02 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Rehan M Din said:


Nice Sharing



thanks jeee
Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
London_Girl said:

welks ji


Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
KING OF JB said:

ahan nice one yara


shukria jee
Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Dard se dosti ho gayi yaaroo..
Zindagi bedard ho gayi yaaroo..
Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara..
Door tak roshni to ho gayi yaarooo.....
Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai....
Dard-E-Dil Ki Inteeha Maloom hai,...
Mujhe Muskurane Ki Dua Na Do,
Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai...
Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
ميرا خواب بکھر گيا ميں تو سچ لکھنا چاہتا تھا محبت کو محبت لکھنا چاہتا تھا جيت کو اپنا مقصد چاہتا تھا مگر جس شخص پر ميرا انحصار تھا وہي مکر گيا ميرا خواب بکھر گيا
Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.

yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.

jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.

keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.

keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi.
Posted 07 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad
Posted 07 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Dil ki Batain bata deti hain Aankhein



Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein



Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi



Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein



Woh hum se baat nahi karti tu na kare



Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein



Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath



Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein



Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto



Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein



Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste



Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein



asgher shukar hai Khuda ne Aata ki Aankhon ki Neyamat humain



Dard -o-Gham sare Dil ke Chupa deti hain Aankhen
Posted 10 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Ankhen apki ho, par ansu mere
Zindagi apki ho, par sanse meri
Dil apka ho, par dharkan meri
Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi
Kafan apka ho, aur maut meri.
Posted 10 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Aa gaya dil kissipe aana tha
Aapka husn ik bahana tha

Iptada-e-shabab bhi kya thi
Chand taaron me aashiyana tha

Tinke tinke se mil ke roye hum
Jaisa har tinka aashiyana tha

Ab to hai kunj kafas se badhtar
Aap rahte to aashiyana tha

Barq ka shukriya ada kar loon
Kitna be-noor aashiyana tha

Maine ghutkar kafas me dam todaa
Saamne mera aashiyana tha

Barq ko aasmaan se aana pada
Ek chhotasa aashiyana tha

Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen
Na kafas tha na aashiyana tha
Posted 10 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga
Posted 10 Apr 2007

Reply to Topic