Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
i think tt u r right ab jhagra khatam kar dena chaahiye,magar tt ek baat to hum sab ko maneni parregi k our society is completely man dominated society,or aurato k jo haqooq islam ne muqarar kiye hai wo inhe nahi mil rahe even un haqooq ka agar serf 25%bhi mil jaaye aurato ko to ye larai hi na ho,per its not going to happen
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
i think tt u r right ab jhagra khatam kar dena chaahiye,magar tt ek baat to hum sab ko maneni parregi k our society is completely man dominated society,or aurato k jo haqooq islam ne muqarar kiye hai wo inhe nahi mil rahe even un haqooq ka agar serf 25%bhi mil jaaye aurato ko to ye larai hi na ho,per its not going to happen
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shahenshaah bhai aap k liye ek book ka naam batati hoo wo parrhiye,bukhari shareef ya muslim shareef ya bahishti zevar aap ka sawal ka jawab inshallah us mai aapko mil jaayega or aapko satisfy bhi kar dega
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
baat aap ki sahi hai magar islam mai sharm-o-haya ko bhi bohat zada importance di gayi hai agar sexual harasment hoti hai to insan ko iska izhar ser-e-aam nahi karna chaaahiye
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
aray yaar kia ajeeb ideas de rahe ho sab?sab se behter idea ye hai k do rakaat nafal parrh lo or ALLAH se dua karo,phir dekhio k kitna sakoon milta hai dil,or jab dil pursakoon hojaaye to or kisi cheez ki zarurat hi nahi parhti
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mera to koi experience nahi haa albata mera bhai,or behan ka hai,bhai univ mai jaane se pehle bohat shy tha bas jo mil jaaye pehen leta tha,jeans se to jese us ko chirr thi,kisi se zada nahi bolta tha magar jab kisi se bolne lagta to acha hasi mazak kar leta,par jab univ gaya to.............itna confidence us mai aagaya k kia bataoo,ab wo jeans k ilawa kuch or pehenta hi nahi or ab or zada rude hogaya hai,haa meri behan wo univ jaane se pehle mod thi fashionable thi,confident thi or har waqt hasti bolti,magar univ jaane k baad us mai sab se bara change ye aaya k us ne parda start kar diya ab wo complete islamic hokar jaati hai,sab fashion karna chhor diye ye do characters apni zindagi mai dekh chuki hoo par kuch samajh nahi aaya,ek fashionable ban gaya univ jaa kar,or doosri shy islamic girl ban gayi
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ya king u r right,larki sharp,moo phat or ghusse waali + larraaka tab banti hai jab wo ghar se bahar qadam nikaalti hai or us ko (maafi k saath)mard ki gandi nazro ka saamna karna parre
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yeah tt u r right i agree with u,k kuch larkia begaarti bhi hai ghar ko,but tt ye tab hota hai jab larki ko us ka haq na mile,use wo pyaar wo izat or wo ahtaraam na mile jis ki wo haqdaar hai
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kabhi kabhi mere dil mai khayal aata hai.........k jese tujh ko banaya gaya hai mere liye tu ab se pehle sitaro mai bas rahi thi kahi,tujhe zameen par utaara gaya hai mere liye
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ek larki maa hoti hai to apne bache k liye kisi bhi had se guzar sakti hai wo apne bache k liye jaan bhi de sakti hai,or agar wo ek behan hai to apne bhai k sab naaz uthaati hai,agar wo beti hai to apne baap ki izat hoti hai,agar wo beevi hai to apne shohar ki har baat maanti hai,use apna majazi khuda kahti hai,agar wo mehbooba hai to wo apne aashiq k liye kisi bhi had tak jaa sakti hai
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
hmmmmmmmm jb,aapki baat kuch had tak sahi hai but dont forget that girls hi qurbaania deti hai,mai yaha kahna nahi chaahti thi magar aapki in sab baato ne mujhe majboor kar diya k mai khulam khula apne dil ki saari baate kah doo,aap ye jaanena chaahte ho na k kis field mai larkio ki izaat nahi hoti mai batati hoo,humare mulk ki well known army,aapko pata hai dr.shazia khalid ka un k ek senior major ne hi rape kia tha,ek major or ek captain ne,or jab baat saza or jaza ki aayi to shazia khalid ko us ki family k saath londn bhej diya gaya taake wo us major or captain k saath kuch saza na klar sake aap jaanena chaahte hai k kis field mai larkio ki izat nahi hoti to suniye ek majboor larki jab ghar se qadam nikalti hai to us ko mardo ki gandi nazro ka saamna har waqt rahta hai,tanz bhare jumle,taane,gande fikre,behooda gaane sunnene ko milte hai,agar ek larki bechari k saath rape hojaaye to koi us se shaadi nahi karta bawajood is k k is gunaah mai uska koi haath nahi tha phir bhi,or rapest araam se phir rahe hote hai,ek working lady offce jaati hai to us bechaari ko har ek se majbooran has has kar baat karti hai k kahi koi uski baa us k liye museebat na ban jaaye kahi uska rookha lahja us ki tension na ban jaaye,yahi nahi ek school ya college girl jab college jaati hai to sab larke usko ajeeb nazro se dekhte hai, ek larki bechari ,jab uska bhai ya baap koi qatal karta hai to us larki bechari ko baap ya bhai ki jaan bachane k liye 100 sala borhe se shadi kara di jaati hai,chhoti chhoti bachio ko becha jaata hai or ye jo aap pyaar ki baate karte ho to meri ek baat sun lo ek larki bhi insaan hoti hai kabhi kabhi nadani mai us se kuch ghalatia ho jaati hai magfar wo apne waaliden k liye sab kuch kar sakti hai awal agar mujhe apne pyaar mai or parents mai se kisi ek ko chunena para to i will abviously go for my parents
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
larkia achi hoti hai n thats it,or ye baat prove ho chuki hai,har madan mai,larkia apne ghar apno k liye kitni qurbaania deti hai,kabhi kisi larke ne di?larkia qasoor na hone k bawajood saza bhugati hai,kabhi larko k saath esa hua?larkio ko har waqt tanz-o-tanqeed ka samna rehta hai,larko ko hai?or agar kisi k paas in sab baato ka jawab hai to wo de jawab phir mai batati hoo k larkia kitni achi hti hai,actually ye society hi man dominated society hai aurato ki izat koi nahi karta sab mard aurto se jealous hai wo unko apne se aage nahi dekhna chaahte
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Shahenshah said:
madgirl said:
larki kiu najaane kiu larko si nahi hoti?hey guys dont be confuse,its simple larki is liye larko si nahi hoti kiuk larkiaa smart,khoobsurat,intelligent or bohat sweet hoti hai ahhh ek cheez to bhool gayi mai larkia bohat honest bhi hoti hai jab k larke uffffffff stupid,gande se,or untidy,careless,silly or cheaters hote hai hai to guys dont be confuse is liye larkia larko si nahi hoti
larkay jesaay bhi hotay hian akhir mae larkiyoon ko shadi ek larkay se he kerni parti hae..end of the story
ahaa ghalat larkia larko se nahi,larke larkio se shaadi karte hai,ek larka kisi larke se to shaadi nahi kar sakta naa shaadi k liye ek achi larki ka hona zaruri hai jo aap se zada achi ho ,sab ka aap se zada care kare isnt it?
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yaarooooooooo mere bhaaiooooooooooo specially behnooooooooooooo saturday ko mere college mai humare liye welcome party rakhi gayi hai par ek problem hai ........sab students saj dhaj kar aarahi hai lakin mai bilkul simple kiuk awal to mujhe makeup n fancy dresses pasand nahi or jab pasand nahi to khareedne ka faida,par ab agar mai simple jaaoongi to baaqi girls ko ajeeb lagega....mai to kah rahi hoo k mai party mai jaoongi hi nahi,par humari teachers kah rahi hai jo nahi aayega uski 1 week ki attendence nahi lagegi plsssssssssssssssssssss help me out,mujhe jaana chaahiye ya nahi??????????????????
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
haana yahi to kah rahi hoo k ap log tapori language use karte ho or aap lo kitne masoom hai is dor k jahil dekho ajnabi ban k ye kahte hai language kiski hai?
Age: 124
6962 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
hmmmmmmm bohat masoom hona aap log konsi tapori language?:kuch yaad karaoo? abey chal ,waha ek bachi aayi hai us ko pattate hai,aray yaar maine us ki aaj ese watt lagai na,abey to kia meri wat lagayega,abey chal, ye jumle kuch sune sune se haina/nahi?acha haa ye to aap k hi kahe hue hai