Miss mine said:Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi Jalta Raha
Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat Badalta Raha
Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko Koi Takta Raha
Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha
Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha
Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha
~CHANDNI~ said:
kabhi jo mujh ko talaash kerna
tou chand raaton ki chandni main
Gul-e-chaman say sawal kerna
udaas kiun ho??
kiun oos-Qatron main apnay aanso
chupaa rehay hoo
haseen mousam main kis ki yadoon main
apnay dil ko jala rehay hoo
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
tumhari aamad ka haal sun ker
kehay ga tum jis ko khoojtay hoo
woo in baharoon ki sari khushboo
churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay
udaas ker kay yahan pay hum ko
kisi chaman main chehek raha hay
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
tumhain lagay ga main baywafa hoon
udaas kalioon ko choor ker main
nai baharoon ko dhoondta hoon
mager haqeeqat main is chaman kay
tamaam phoolon ki khwahishon kaa
aur in ki nakkam kavishoon ka
haseen mousam ki barishoon ka
naa meray dil per aser hoa tha
naa meray dil per aser hoa hay
main aaj bhi ik nay chaman main
puranay qissay suna reha hoon
joo mere chahat ka devtaa tha
main aaj bhi us ko poojta hoon
yaqeen nahi tou palat kay dekho
waheen khara tha,waheen khara hoon
~CHANDNI~ said:Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
great MM
Miss mine said:
jani post karo naaaa...
~CHANDNI~ said:
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana.
~CHANDNI~ said:
mukhara os ka chand seraat hai chandani
meray ghar mein aa gie hai chanda ki chandani
kismat ke andehray khabi dor neigh hotay
suraj ki roshani ho ya chanda ki chandani
payar ki khatier to kuch kerna peray ga
kismat ka saath ho ya chanda ki chandani
os ki khushi ab marie khushi ke sang ho gie
chanda ke saath ho jab chanda ki chandani
chudahvien ka chand, sumendar ka shoar tha
lahroun pe hama rakhas chanda ki chandani
otra jo chand mehfil mein ronaq se ho gie
dewana bana deatie hai chanda ki chandani
dareachay se deakh rahie thi ke jab wahan
aangan mein pehlie thi chanda ki chandani
phir chup gay thay taray chanda ki oat mein
jab chand ne pehlaie thi chanda ki chandani
mehsus ho raha hai tu meray ass pass hai
pehlie hai shaied is gharie chanda ki chandani
dewana hai chokar saada chand ke lea
chand ka khumar hai ya chanda ki chandani.
.
~CHANDNI~ said:
Chandni raat main chaand ke saamnay
rukh se pardah hatana ghazab ho gaya
chaandni chhup gayi chaand sharma gaya
aap ka muskurana ghazab ho gaya
dil ki dharkan meri tez honay lagi
raat aankhon main kaantay chubhonay lagi
wasl ki raat main baat hi baat main
yoon tera rooth jana ghazab ho gaya
jhoom kar kaali kaali ghata jab uthi
raat apni karwatain badaltay kati
kuch to mausam ne bechain rakha hamain
kuch tera yaad aana ghazab ho gaya
apnay hissay main toofan ki taqdeer thi
zindagi apni mojon ki zanjeer thi
doob janay ka apnay hamain gham na tha
us ka saahil pe aana ghazab ho gaya
~CHANDNI~ said:
CHAND CHANDNI
"KASH MAIN TERI CHANDNI OR TU MERA CHAND HOTA,
MAIN TJHSY OR TU MJHSY BEPANAH PYAR KRTA,
DOOR JO CHLI JATI MAIN TJSY KBI
TU MERY BEGAIR NA TERA GUZARA HOTA
HAAYYE YE PAL BHI KITNA HASEEN HOTA,,,,
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
CHAND CHANDNI
"KASH MAIN TERI CHANDNI OR TU MERA CHAND HOTA,
MAIN TJHSY OR TU MJHSY BEPANAH PYAR KRTA,
DOOR JO CHLI JATI MAIN TJSY KBI
TU MERY BEGAIR NA TERA GUZARA HOTA
HAAYYE YE PAL BHI KITNA HASEEN HOTA,,,,
lovelyyy bahut khub
Dena hai meri Aankho ko to aisi Risayi de,
Main Aaina bhi dekhun to tu dikhai de,
Dariya mein to lakh katre hain magar,
Katra wahi jisme sara dariya dikhayi de,
Kya husn kya jamal hai tera,
tu bheed mein bhi jaye to tanha dikhai de....