Rapunzel said:
Image
If I hand you
My delicate heart,
Will you promise me
That you won't allow it to fall apart?
For my heart, you see
Is easily broken.
It has been bruised, battered
And once stolen.
My once loving heart
Has lost its knowledge of trust.
It has endured many tortures
Cause by careless lust.
So can you promise
To protect my delicate heart?
And to hold it with great care,
So there is never a chance that it will fall apart.
Rapunzel said:Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay
Hay ager piyaar ussay bhee to chuppaata kiyoon hay
Chain din main hay ussay aur na raatoon ko sakoon
Itnee qurbet hay to phir rooth kay jaata kiyoon hay
Youn to main bhool gaya hoon ussay maazi kee tarah
Dil ko her waqt mager yaad woh aata kiyoon hay
Teri faryaad sunni hay na sunnay ga koi
Phir bhee tu haath duaaoon ko uthaata kiyoon hay
Rapunzel said:Raat hogi to chand bhi dikhai dega,
khabho me tumhe vo chehra bhi dikhai dega;
ye mohabat hai jara soch ke krna,
kyonki ik AANSU bhi gira to sunai dega.
Rapunzel said:
Kabhi To Ki Hogi Suraj Ne Chand Se Mohabbat
Tabhi to Chand Main Daag Hain
Shayed Ki Hogi Chand Ne Bewafai
Is Liye Suraj Main Aag Hai
Miss mine said:Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se
Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewangi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai....
~CHANDNI~ said:
mukhara os ka chand seraat hai chandani
meray ghar mein aa gie hai chanda ki chandani
kismat ke andehray khabi dor neigh hotay
suraj ki roshani ho ya chanda ki chandani
payar ki khatier to kuch kerna peray ga
kismat ka saath ho ya chanda ki chandani
os ki khushi ab marie khushi ke sang ho gie
chanda ke saath ho jab chanda ki chandani
chudahvien ka chand, sumendar ka shoar tha
lahroun pe hama rakhas chanda ki chandani
otra jo chand mehfil mein ronaq se ho gie
dewana bana deatie hai chanda ki chandani
dareachay se deakh rahie thi ke jab wahan
aangan mein pehlie thi chanda ki chandani
phir chup gay thay taray chanda ki oat mein
jab chand ne pehlaie thi chanda ki chandani
mehsus ho raha hai tu meray ass pass hai
pehlie hai shaied is gharie chanda ki chandani
dewana hai chokar saada chand ke lea
chand ka khumar hai ya chanda ki chandani
Rapunzel said:Hum bhool jate hain chand ki pehchan tujhe dekhtay dektay
Hussan wale hojate hain pareshan tujhe dekhtay dekhtay
Khuda nay banaya hoga tujhe kei saadyioon main
Hota hai ye gomaan tujhe dekhtay dekhtay
Jiss nay kia na ho Pyaar sari zindagi main
Bhatak jata hai wo bhi Insaan tujhe dekhtay dekhtay
Jin ki zindagi Khatam horahi ho pal bhar main
Mil jata hai Inhay Jeenay ka samaan tujhe dektay dektay
Gar tere milnay Milan k baad maut aaye bhi tu kia
Hum ho jaein gaye Kurbaan tujhe dektay dektay
sHAf! Tu karta hai tareef chand ki chandni dekh kar
Maghr Khamosh ho jati hai Zubaa tujhe dekhtay dekhtay
~CHANDNI~ said:
CHAND KI CHAHAT KARTI HOOO
TUM PAGAL LARKI LAGTI HOOO
WO DUR FALAK PE REHTA HAI
TUM KAHIN ZAMEEN PE BASTI HOO
SITAREEY USS KAY HUM DUM HAIN
KIYUN BAAT NAHIN SAMAJTI HOO
WO PARIYUN KAY DEESE KA BAASI HAI
TUM AAM SEI SURAT LAGTI HOO
KIYUN RAAT BHAAR NEEND NAHIN AATEE
KIYUN SOOCH MAIN DOOBI REHTI HOO
JO TUM PE BEETI MOHABAT MAIN
USS SE KIYUN NAHIN KEHTI HOO
KHABOON MAIN KHOYEE REHTI HOO
KIYUN MARY MARY PHIRTI HOO
CHAND SE BATAIN KARTI HOO
RAAT KI BAAHOON MAIN SOTI HOO
YUN AAS LAGAYEY BETHI HOO
KISI KI BAAT SUNTAI HOO
CHAND KI CHAHAT KARTI HOOO
TUM PAGAL LARKI LAGTI HOOO
Rapunzel said:nhi mush k lye bheje hain
Miss mine said:Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai..
Lashakir said:AAP SAB KI NAZAR AIK GHAZAL ...
UMEED HAI AAP KO ZAROOR PASAND AAY GI...
LIJAAY ENJOY IT...
~CHANDNI~ said:
Apani Khushi na aaye na apani khushi chale
Behatar to hai yahi ke na duniyaa se dil lage
Par kyaa karen jo kaam na bedillagi chale
Ho umr-e-Khizr bhi to kahenge ba_vaqt-e-marg
Ham kyaa rahe yahaan abhi aaye abhi chale
Duniyaa ne kis ka raah-e-fanaa men diyaa hai saath
Tum bhi chale chalo yuun hi jab tak chali chale
Naazaan na ho Khirad pe jo honaa hai vo hi ho
Daanish teri na kuch meri daanishvari chale
Kam honge is bisaat pe ham jaise bad_qimaar
Jo chaal ham chale vo nihaayat buri chale
jaate havaa-e-shauq men hen is chaman se 'Zauq'
apani balaa se baad-e-sabaa kahin chale