Rapunzel said:
Rapunzel said:
Rapunzel said:u think add chala dein Geo pe phr dhoondhte hain paroo n dewdas waghaira ko
Miss mine said:mukhara os ka chand seraat hai chandani
meray ghar mein aa gie hai chanda ki chandani
kismat ke andehray khabi dor neigh hotay
suraj ki roshani ho ya chanda ki chandani
payar ki khatier to kuch kerna peray ga
kismat ka saath ho ya chanda ki chandani
os ki khushi ab marie khushi ke sang ho gie
chanda ke saath ho jab chanda ki chandani
chudahvien ka chand, sumendar ka shoar tha
lahroun pe hama rakhas chanda ki chandani
otra jo chand mehfil mein ronaq se ho gie
dewana bana deatie hai chanda ki chandani
dareachay se deakh rahie thi ke jab wahan
aangan mein pehlie thi chanda ki chandani
phir chup gay thay taray chanda ki oat mein
jab chand ne pehlaie thi chanda ki chandani
mehsus ho raha hai tu meray ass pass hai
pehlie hai shaied is gharie chanda ki chandani
dewana hai chokar saada chand ke lea
chand ka khumar hai ya chanda ki chandani
Miss mine said:Ik raat khuwab mein mein nay
Chand say poocha chupkay se
Aaj mujhay ek baat batao
Apnay dil ka haal sunao
Kya hai koi aisa
Jo tumko acha lagta ho
Dil k pas jo basta ho
Chand ne tera naam lia
Mein ne dil ko thaam lia
Jab se dekha hai yeh sapna
Tab say chand raqeeb hai apna..
~CHANDNI~ said:
Tumse Mila To Yu Laga Ki
Khilta Hua Gulab Hai Meri Baho Me
Tumse Mila To Yu Laga Ki
Ugata Hua Chand Hai Meri Baho Me
Tumse Mila To Yu Laga Ki
Pyar Ka Sailab Hai Meri Baho Me
Tumse Mila To Yu Laga Ki
Is Safar Ka Mukam Hai Meri Baho Me.
~CHANDNI~ said:
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Main apne khawaab se bichhdaa nazar nahi aata,
Tu is sadi mein akela nazar nahi aata,
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Ajab dabaav hai in bahri havaaon ka,
Gharo ka bojh bhi uthtaa nazar nahi aata,
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Main ek sada pe hamesha ko ghar chhod aaya tha,
Magar pukaarne waala nazar nahi aata,
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Main teri raah se hatne ko hat gaya lekin,
Mujh to koi bhi rasta nazar nahi aata,
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Dhuaa bhara hai yaha sabh ki aankhon mein,
Kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Miss mine said:Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin,
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta..
jo chand ka hai chandni se,
sitaro ka hai aasma se he..
samunder ka hai gehraee se..
jism ka hai aatma se..
phoolo ka hai khooshboo se..
suraj ka hai roshni se..
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko
khayal rehta hai tumhara hur dum,
hur pal, hur lumhah..
chavi hai tumhari ankho mei
khooshboo hai tumhari sanso mei
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?
kuch maloom nahin..
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin. . . . . .
~CHANDNI~ said:
Meri zaat se lipta hai teri yaad ka mausam
Meri rooh mein shamil hai tere pyar ka mausam
Mein yunhi shaam se bethi hoon
Teri chahat kai se mein
Mein yunhi pal pal tujhe sochoon
Mohabbat ki barish mein
Mein yunhi ankhoon mein tujhe basati rahoon
Lamha lamha
Chand jaisa badloon mein samaye
Andheri ratoon mein
Meri zaat se lipta hai teri yaad ka mausam
Meri rooh mein shamil hai tere pyar ka mausam
Mein yunhi samnai tere bethi
tujhe dekhti rahoon
Lamha lamha pighalti rahoon
teri nigahoon mein
Mere hathoon mein yunhi hath rahay
tera har dam
Tu mujhe yunhi samaita rakhay
dil ki panahoon mein
Meri raatain hi nahi subhain bhi
tere naam ki hoon
Dua yehi mangti hoon
dil ki gehraiyoon mein
Meri zaat se lipta hai teri yaad ka mausam
Meri rooh mein shamil hai tere pyar ka mausam
~CHANDNI~ said:
CHANDa CHANDNI
KIRANKASH MAIN TERI CHANDNI OR TU MERA CHAND HOTA,
MAIN TJHSY OR TU MJHSY BEPANAH PYAR KRTA,
DOOR JO CHLI JATI MAIN TJSY KBI
TU MERY BEGAIR NA TERA GUZARA HOTA
HAAYYE YE PAL BHI KITNA HASEEN HOTA,,,,
may bass CHANDA ki CHANdniii
Rapunzel said:I Love You My AngeL ..
You call me Perfect...
You call me Angel...
But how can you not see
that these moments,when
I am closest to you than
anyone else, that
nothing else matters,
because we are wrapped
in the wings of love
and everything is perfect
I am one wing
you are the other,
without you, I cannot fly.
We're perfect Together.
We are one-winged Angels,
Meant for each other...
rapunzel said:ohh mujhe aik baat samjh nhi ati k bahir rahne wale Mush ko itna behter aur acha insan kion samjhte hain baat simple si hai insan jab apne bare mein likhta hai tu kuch andaz mein kabhi sokhi bi aa jati hai aur baaz auqat jo baat nhi nikalne wali hoti wo bi nikal jati hai maun se ab theek hai wo chahe jitne marzi ache insan ho jo kuch wo aj yahan Pakistan mein kar rhe hain "wanna,sawat,isb" mera nhi khayal ye kisi lehaz e thek hai Quaid bi in halaat se guzre tab in logon ne har haal mein Pak kasath dya aur Aj Mush inhe hi mujrim sabit kar rha hai very very bad kya aik insan power ki lalich mein itna girr jata hai k rooz kayi be-gunnah afraad ko gharon se utha le
Last days mein ne akhbar mein parha tha "Human Rights" ki report thi k Mush Govtt se pahle "La-Pata" afraad ka koi tasavur hi nhi tha
ap zero point 2 parhein us mein Javed Sahib ne her Leader ko ache aur bure ka kaha hai wo 2002 ka zamana tha
2007 ko ye book publish hui jo Leader 5 saal mein bi na samjhe use hum kya kahein??
Is waqt Pak mein kisi k pas itna time nhi k aisi books parhe aik leader se pichle dino kaha tha agr ye book Mush as a civilian likhta tu iski 100 books bi na bikhti
Ashii said:filhal me ne sirf pehla article parha hai
me ne mushi ki biography nahi parhi so cant say anything abt it,, par yeh samajh nahi i k jawed sahab ko mushi ki kitab achi lagi ya buri
~CHANDNI~ said:
**************--------------^--------------**************
Apni madhosh nigaahon se sawera karna,
Isi veeran shabistan mein ujala karna,
**************--------------^--------------**************
Woh to phoolon se bhi nazuk hai bahut der talak,
Jab bhi dekho to nazar uski utara karna,
**************--------------^--------------**************
Apni zulfon mein chupalo mujhko bahut udaas hoon main,
Roshni Chubhti hai aankhon mein adhera karna,
**************--------------^--------------**************
Yoon to har din teri khushboo se jawan rehta hai,
Aankh lag jaye to khawaabo mein bhi aaya karna,
**************--------------^--------------**************
Woh kisi roz idhar se bhi guzar sakti hai,
Tum na ek pal bhi nazar apni hataya karna,
**************--------------^--------------**************
Tumne baadal ki tarha dhoop chupani hai,
Tum har ek shaam use chaand dikhaya karna..!!!
**************--------------^--------------**************
***** --------------^-------------- --------------^-------------- *****
**************--------------^--------------**************
Miss mine said:Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha
Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha
Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
MISS SCORPIO said:Deva phirse jaam pih raha hai?
sun_shine said:Assalam O Alaikum
Whats going on here?
Miss mine said:Mera Chand Baadalon Mein Kyon Jaake Kho Gaya Hai
Ab Door Is Kadar Woh Kyon Mujhse Ho Gaya Hai
Kyon Ji Rahe Hoon Tanha Yeh Yaad Bhi Nahin Hai
Bas Itna Yaad Hai Ke Woh Yaad Aa Raha Hai..
rapunzel said:
sun_shine said:Assalam O Alaikum
Whats going on here?
Waalaikum Assalam
searching paru n dev
~CHANDNI~ said:abbb Fourm may girlz raaj chal raha hay kise ki bany devdass
Fairl_Girl said:Dard kii baarish sahii maddham zaraa
Aahistaa chal
Dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa
Aahistaa chal
Tere milane aur phir tere bichhar jaane
Ke biich
Faasalaa rusvaa_ii kaa hai kam zaraa
Aahistaa chal
Apane dil hii men nahi hai us kii
Maharuumii kii yaad
Us kii aankhon men bhi hai shabanam
Zaraa aahistaa chal
Koi bhii ho ham-safar 'Kabir' na ho
Khush is qadar
Ab ke logon men vafaa hai kam zaraa
Aahistaa chal