Age: 124
7449 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
question was why pakistan made not quaid-e-azam was a good muslim or not.
everyone knows why Pak-istan made. muslims ko aik alehda country chaheye tha for living with independence jaha rooz rooz ka fasaad na ho ....jaha musalman sakoon sei gayeen ki qurbani dei sakeen......jaha islam ka kanoon ho wagera wagera
aab aatay hain quaid-e-azam ki taraf. i don't know kaab haamaray logoon ki thinking original ho gey...kaab hamaray zehaan sacchai ko pehchanayeen gey ??. yaar hum apnay leaders ko superman kue dekhna chahtay hain ? hamra leader be insaan he tha ..tha kay nahi ?
agar yun dekha jayee tu kon hai jo gunagar nahi hai ? allama sahib sharab petay thay im sure bohot kam logoon ko pata ho ga un paar aik larki kay qatal ka mukadma be chala. lekin kya un ki ezaat kam ho geye ..sir syed ahmad khan be koi haji luk luk nahi hoon gey ....
agar woe sub buray thay tu phir hamaray dil mein un ka ehtaram kue hai ??
un kay gunnah un kay sath just see what they did for you un ki jaga agar ko christian hota jo hameen azadi delata tub tu kisi kay zehan mein aesa koi sawal na aata ...
rahi baat hamari text books mein ye sub nahi batayaa jata.......agar hamaray ma baap nein apni jawani mein bohot sei KARNAMAY keye hoon .should they tell there childerens all there stories ..kay unhoon nein jawani mein kya kya gunna kea wagera wagera ...chaloo maan lea kay woe bata deta tu bachoon kay zehnoon pay kya assar parta ? theek hai wakt guzarnay kay sath sath un ko pata chal he jata paar uss wakt jananay ore start mein jananay mein bohot farak hai....
here i must say I love quaid-e-azam unn ki aik aik cheez sei mujay pyar hai chahay woe gunnah he kue na ho
Age: 124
7449 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
aik saccha muslim jub apnay jesay dosray muslims ko ghalat rahoon paar chaltay dekhta hai tu kya woe frustrate nahi hota ?
frustration tu insani nature mein hai ....jesay hansna,rona, bhook lagna natural hai eseyeee tarha frustration be natural hai.
koi supernatural humen he ho ga jesay frustration nahi hoti ho gey.....hmmm jesay sadahrath(bhudda)..uss nein apni zindagi kay bohot sei saal janglooon mein guzaray...for what ? i think for controlling the nature...jub woe wapis ayaa tu uss ka khana aik chireyaa kay bachay kay khanay kay barabar tha ...uss ko na gussa aata tha na koi havass ore na he koi talab....uss nein aesa sakoon pa leya tha jo kay hazaroon pills mil kay be nahi pohancha sakti...
but unfortunatelly uss kay followers nein ussay kay statue bana leye ore uss azeem insaan ko khuda bana dea. agar ye na hota tu shaied ajj mein uss kay afkaar apni nisaab ki kitaboon mein paar rahay hotay like shakespeare and barnard shah...kue kay uss kay afkaar ko aik mazhaab ka darja dei deya geya ..ore mazhaab kay mamlay mein hum sub xtreamist hain.
i think jub insaan apni life sei unsatisfy hota hai tu waha frustration paeda hoti hai....ghareeb ess leye frustrated hotay hain kay un kay pass paesa nahi woe choti choti chezoon kay leye tarastay rehtay hain. ..amir ess leye hotay hain kay un kay pass sakoon nahi...woe un chooti chooti khushoon kay leye tarastay hain jo paesay sei nahi haredi ja sakteen.
duniyaa mein rahna hai tu frustration ka sath zindagi kay ehtatam tuk rahay ga..if you don't want to frustrated just control the nature!
Age: 124
7449 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
muddat hui hai zyarat e insaan kiye hue
haan itnay dinoo sei tum ghar sei bahir be nahi nikli na
yaar i believe zindagi mein sirf hansnay hasanay kay elava kuch original nahi na hamari soch na hamara rehan sehan..hum nein chand ko benakaab kaar dea paar mila kya sevayeee ess kay ..kay woe aik badsoorat sitara hai jis becharay ki chamak be apni nahi....hum dhooond kya rahay hain ?? kya chahyee hameen ?? ahesta ahesta jub ye sub raaz hamaray leye raaz nahi raheen gey tub kya ho ga ? tub hum kisay dhoondeen gey ?
yaheen aik baat samaj aati hai kay agar khuda apnay app ko benakaab kaar dei tu kya woe khuda rahay ? jis ki hakeekaat ko haam nein pa leya woe cheez hamaray leye bayhakekat ho geye fazool ho geye...pata nahi hum kidar ja rahay hain..paeda hotay hain ....shaadi kartay hain apnay jesay ore insaan paeda kartay hain ore maar jatay hain.
leave it yaar i think i should rest for few days aaj kaal bohot talakh ho geya hoon mein ..pehlay he woe bechari sharara ore mysteriousgal sei larayee hotay hotay reh gey.
Age: 124
7449 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kash mein kuch din kay leye larki bun sakta ..sirf ye dekhna kay leye ess tarha ronay sei kya milta hai ...yaar aik baat tu sochoo ...jis ko tum chahtya ho woe mil jata uss sei shaadi ho jati tu kya hota ? kya tumheen sakoon mil jata ?dil udass hona choor deta ?
Age: 124
7449 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kitni door ja chuki ho kon sei door ja chuki ho ?? love peoples khud he nazdeek aa jaoo gey ...ager ye nahi hota tu nasha kaar kay kahi parii rahoo i really don't like peoples who says such kind of -ve things. abi tumharay age he kya hai ? tum nein dekha he kya hai ? duniya ko samja he kya hai ? khoyaa he kya hai ?you really don't know khonay ka kya mutlab hota hai...ya jo tum kaar rahi ho ye sub bahanay hain apni kamzorioon ko chupanay kay bahanay.
Age: 124
7449 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
okay alright tum sunana he chahti ho tu sun lo ..im not a sofi ore aalim but jo baat meri chooti sei aaqal mein aati hai woe keh deta hoon.
meray nazdeek dua khuda kay faiesalay ko challenge karna hai ya uss kay faiesalay kay halaaf uss ki adalat mein mukadama karna hai.
hum loog ya koi be aalim ya koi be molvi dosroon ko kehtay hain khuda nein jo keh deya ya jo bana deya ya jo hamaray mukadaar mein likh dea woe kabi change nahi ho sakta... magar dosri taraf jub hamaray apnay sath ya kisi molvi ya sofi kay sath ayesa hota hai jisay hum apni nakis aakal sei samajtay hain ye hamray sath galat hoa hai ..tu hum khuda sei safarish(dua) karnay beth jatay hai jis ka saaf saaf ye mutlab banta hai kay ya khuda hum teray faisalay sei mutafieek nahi jo tu nein hamaray mukadaar mein likha hai uss ko badal hameen jo tum nein dea yeh aesay nahi vesay dei.
agar dosari taraf sei dekheen tu ye apnay dil ko tasalee denay ka aik zareyaa hai.
aik joa ya lottery ..hum paar agar koi musibaat aati hai tu hum uss ko hatam karnay kay leye bhag door kartay hain muhtalif tarekoon sei usay hatam karnay ki koshish kartay hain ..agar woe kisi be tareekay sa solve na ho ore hum thuk kay beth jayeen ya himat haar lein tu hum dua kartay hain agar phir be na solve ho tu haam apnay naseeb ka likha samaj kay hamosh ho jatay hain ore duniya kay dosray kamoon mein masroof ho jatay hain.