Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
wafa jee app ki movies floop paar floop ho rahi thi ess leye mujay maedaan mein aana para ...vesay be young blood ko be moka dena chaheyeee..poranay logoon kay leye aab araam he behtaar hai
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
jaha tuk khuda ko dhondanay ka sawal hai tu it's depends on our thoughts ..
kay hum khuda ko dhuondanay ka kya matlab letay hain.
Tum khu apnay demag ko tatolo tum khuda ko kesay dhoondoo geye ?..aesay ?? Kay tum jungle jungle pahar paha nagri nagri sheher sheher phirti rahoo ore akeer kaar kisi door-daraz makam paar tum khuda ko dhoond loo ..oh God here yu are hidding i have been searching you last fifty years. ya phir tum aik rocket paar bethoo ore aik asmaan sei dosray asmaan paar dosray sei tesaray ore phir satveen asman paar pohanch jaoo ore God tum sei kahay my kid YOu have found me here are your cookies..
Is it possible ?? kya tum aesay khuda ko dhoond sakti hoo??
I think we don't need to find God Caz we have found him already.
Khuda kay wajood ko manana he asal mein khuda kao pana hai.. Hum nein tu khuda ko 1400 saal pehlay he paa leya tha ..yaha ye sawal zehan mein aata hai agar ye baat thi tu hum nein tu 1400 saal sei pehlay he khuda ko pa leya tha jub jesus nein mosis nein aik khuda kay honay ka aelaan kea.
aesa he hota magar haar baar uss mein koi na koi kami reh geye..haar baar kisi na kisi ko khuda kay sath shareek kaar ldeya geya....
Ye tu un ki apni he batoon ki nafi ho geye kay khuda aik hai ...agar khuda aik hai tu uss ka beta kaha sei aa geya ?? tu ess sei ye baat sabit hoyee kay abi khuda ka dein mukaml nahi hoa..
Jisay hamaray nabi (pbuh) nein aa kay poora kea ore khuda ka paegam be wazeya alfaaz mein loggon ko pohanch dei kay khuda wahid hai uss ka koi shareek nahi na uss nein kisi ko jana ore na woe kisi sei juna geya...
Jesus kay amanay mein jesus ko zeyada din pehgham denay ka moka nahi mila unheen khuda nein apnay pass bula leya (ye kun hoa ess ka jawab tu sirf khuda kay pass he hai...apni maslahateen woe he janay).. Bible ko mukamil karnay ka zeyada taar aam un kay nazdeki satheyoon nein kea ..woe aeysaeyaat ko phelanay kay leye itna aagay bhaar geye kay Room uss wakt aik bohot bari sultanat thi woe loog buet parasti kartay thay jub un ko jesus kay sathiyoon nein aik khuda ko manay kay leye kaha tu Roam waloo nein nein jawab dea hum uss khuda ko kesay maan saktay hain jo nazar he nahi aata ...tu un aaqal kay andhoon nein mazhabi janoon mein unheen jesus ore marian kay buet bana kay dei deye...jo ajj tuk chaltay aa rahay hain ..ajj be hum girjoon mein khazrat marem ore jesus kay buet dekh saktay hain... Kya ye aik huda ki ebadet hai ?? kya ye buet paresti nahi ??
Sabeet ye hoa woe loog apnay rustay sei bhataak geye jin kay nataejay mein aik ore dien ayaa jisay Islam kaha geya..
Jis nein khuda kay aik honay ka sahi tasavoor peash kea ore uss kay mananay walay uss sei pheray nahi..aik musalmaan sharab ya haram cheez ya haram kaam tu kaar sakta hai magar khuda ki zaat kay sath kisi ko shareek nahi kaar sakta ore yehi aik sachay dien ki nishani hai ...
kay uss kay mananay walay purelly aik zaat paar yakeen rukhtay hain..
abb be agar koi khuda ki zaat ko dhondanay niklay ga tu uss sei bara bewakoof kon ho ga ??kue kay aik dhoondi hoyee cheez ko dhondna aik bewakoof ka he kam hai ore wohi abb khuda ko dhondanay niklay ga jo ess khuda ko manata nahi ore kisi ess sei bei behtaar khuda ko pana chahta hai..
Demag ka dahi bana dea yaar .............Baki bateen phir kabi hoon gey
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Good mujay app logoo kay kheyalaat jaan kay bohot accha laga heeraan bei hoon kay itnay bore topic mein sirf larkiyaa he hisa lei rahi hain..well koi be koom uss wakt he taraki karti hai jub un ki larkiyaan hosheyaar ho jayeen.. here are my thoughts.
Tum nein kaha kai mein nein yei kue nahi socha Hava ko tuffan kis nein banaya ore yeh kue kabi teez ore kabi kabi ahesta ho jati hai ....
kya tum mein itna shaooer tha kay tum uss sei agay soch sakti ?? tumharay leye woe hava ya tufaan nahi tha tumharay leye tu woe aik undekhi takat thi jis ka tum mukabala nahi kaar sakti thi ..jo nazar bei nahi aati thi magar tum ko dhakeel rahi thi....
Let me try to explain it ...Asaal mein tum nein mukamal imagine nahi kea tum kis door mein thi..
Ess baat ko tum manti ho na insaan nai ahesta ahesta taraki ki ..aik dum sei sub kuch nahi ho geya...
Tu jub tum nein un loggon ko us tofaan kay agay jhukayaa actually indirectlly tum nein unheen khuda kay agay jhukaya..
Woe lamha khuda kay wajood ko mananay ki taraf pehla kadam tha...
tum nein unheen aik soch deay dei un ki soach ko aik rukh dei dea...ore wahi sei khuda ki talash shuru ho geye..
Saal guzartay geye neye neye loog duniya mein aatay geye kuch logon nein tumhari usi soch paar chaltay hoyee dosri chezoon ko bei khuda bana deya sorag,aaj,pani phir buet ..asal mein ye sub khuda ki talash ka he safar tha..
phir kuch aesay loog ayee jinhoo nein en sub chezoo ki mohalfaet ki ore khuda ko aik undekha wajood kaha jis nein ye sub takateen ,suraj chand,aag baneyee ore insaan bei usei nein paeda keye...
asal mein ye sub kuch tumhari ussi soch ki waja sei shuru hoa ..jo baad mein loog ayee hum unheen philosphor suppose kaar letay hain unhoon nein tumhari he baat paar chaltay hoyee usay ore Vusaat dei ore tumhari he baat ki waja sei unhoon nein neye neye rustay nikalay ore ye sochanay kay kabil hoyee kay woe aandi jo ayee woe thi kya ore bheeji kis nein...
abb bataoo kya tum uss wakt ki philosphor nahi thi ?? duniya ki sub sei pehli philospher ..
ess baat ko hum yun be keh saktay hain Newton nein aik formula nikala sub sei differetn sub sei nirala .sub nein uss ko mana ..abb newton tu na raha magar uss kay formulay paar logoon nein kaam keya ..uss paar socha ore neye neye ore formulay nikal leye ..ya phir yun keh lein usei kay formulay ko behtar ssei behtar shkal dei... magar naam kis ka hoa newton ka kue kay uss nein he logoon ko aik rusta dekaya jis paar chal kay logoon nein ore rustay he rustay nikal leye...
So sabit kya hoa kay asal philosphor tu tum thi baki tu sub tumharay tustay paar chalay...
Hum arastoo,aflatoon ko tu jantay hain ore unheen azeem loog mantay hain, magar en kay be jo ustaad thay un kay baray mein hum kya jantay hain ??agar arastoo ore aflatoon great hain tu un ko great bananay walay kya hoon gey ?
Actually they were much greater than arasoo and aflatoon but it is our lake of knowledge that we don't know about them..
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kekeke tumheen guayeen keh kon raha hai ..mera kehna ka mutlab tha tum aurat nahi larki hoo ore jin hamesha aurtoon paar aatay hain .. aab kya larki ore aurat ka farak be samjana paray ga
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mera dada kehta tha kay jin sirf khoobsurat aurtoo paar aata hai jub woe teez khusboo laga kay baal khulay choor kay bahir nikalti hain ..ess leye tumheen darnay ki zaroorat nahi kekekeke
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
abb mujay cheer he dea hai tu meri fav poetry be sunani paray gey agar tum ko history ka kuch pata hai tub he ye shaeri tumhari samaj mein ayee gey
Nukta-ey nuksh bana detay ho mita detay ho janay kis jurm-ay tamana ki saza detay ho kabi pathar ko bana detay ho heeray ki kani kabi heroon ko be miti mein mila detay ho zindagi kitnay he murdoon ko ata ki jis nein woe masehaa be saleeboon pay saja detay ho hae-shay deeed jo kaar bethay saray toor koi toor he baan kay tajali sei jala detay ho bechoo yousaf ko kabi miser kay bazaroon mein aekheray kaar shahey miser bana detay ho jazboo masti ki jo manzil mein pohanchat hai koi beth kaar dil mein AnalKhak ki sada detay ho khud he lagvatay ho phir kofaar kay fatvay uss paar khud he mansoor ko soli pay charha detay hoo apni hasti be woe ek rooz ghanva bethta hai apnay darshan ki lagan jis ko laga detay ho
koi ranjhaa jo kabi khojnay niklay tum ko tum usay jung kay belay mein rula detay ho justajoo lei kay tumhari jo chalay Qais koi uss ko majnoo kisi laila ka bana detay ho juat sasi kay agar maan mein tumhari jagay uss ko taptay hoay thul mein jala detay ho sohni ghar tum ko mahevaal tasavoor kaar lei uss ko bephri hoi lehroon mein baha detay ho Khud jo chahoo tu saray aersh bula kaar mehboob Aik he raat mein meraaj kara detay ho
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
loog bhutaktay rahay jo jis nein kaha woe maan leya samaj mein nahi ayaa magar maan leya...logoon ko bhutaknay sei bachanay kay leye khuda nein apni kitabeen bhejeen kay sirf ye he rehnamai hai ess ko pakar loo haar raaz sei parda uth jayee ga...
actually tum na be chahoo tu you have to believe on God khuda paar yakeen karnay sei maut asaan ho jati hai....jub tum ko believe ho kay maranay kay baad be koi zindagi hai tu tum khusi khusi maar sakti hoo but agar tum ko belive nahi ho ga tu tumharay leye marna bohot takleef dei ho ga ...kue kay sirf ye he aik aesi cheez hai jis ka haar haal mein insaan ko yakeen hai kay ye ho kaar he rahay gey...
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
khuda kay wajood ka yakeen honay kay baad un zaheen logoon ka mind be change hoa jinheen loog philosophers kay naam sei pokartay hain ore unhoon nein apnay way sei logoon ko khuda paar yekeen karnay ka rusta dekhayaa ore khuda ko dhoondnay nikal paray....aik ayaa uss nein unaalkhuk ka nara lagayaa yanii mein he khuda hoon (insaan he khuda hai) uss kay naray ka mutlab ye tha kay jub tuk mein hoon tub tuk khuda hai...yani meray marnay ka baad na meray leye koi khuda rahay ga na koi mazhab jo kuch be hai woe abi hai jub tum mein zindaa hoon...usay uss wakat kay logoon nein phansi paar charha dea....phir koi ore utha ore uss nein khuda kay wajood sei he inkaar kaar dea....kisi nein kaha zameen chipti hai sub nein uss paar yakeen kaar leye...magar phir baad mein kisi nein kaha nahi zameen ghool hai logoon nein uss paar be yakeen kaar leya...
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kuch arsay kay baad tumhari zindagi ka time pora ho geya ore tum apnay halekay hakeki sei ja mili tu un loogoon ko daar hoa aab hameen ess bala sei kon bachayee ga tu un mein sei aik akalmand kay mind mein ye khayal ayaa kay kue nahi hum esay hamesha kay leye mehfooz kaar kay apnay pass rukh lein ..logoon nein pocha woe kesay tu uss nein uss tree ki taraf eshara kea jis ki shaheen bohot lumbi lubmi thi ore jo tumhara pasandeda darahata thay jis kay sayee mein tum dhoob sei mehfooz rehnay kay leye bethati thi...abb woe tree be mukadass tehra kue kay tum uss kay nichay bethati thi tu uss mein koi na koi hass baat tu ho gey.....buss tu woe darahat be mukadass tehra..
esee tarha jesay jesay zamana tarake karta geye neye neye logoo nein neye neye bateen kaheen ore chand suraj aaj ki poja shuru ho geye ore enn batoon ko batanay waloo kay mujasmay be baan geye...
phir khuda nein jub insaanoo ko bhutaktay hoyee dekha unheen andheray mein hath paoon martay dekha tu khuda ko reham aa he geye uss nein unheen sedha rusta dekhana kay leye messengers bhejay ....
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
agar kisi philosopher nein kabi ye nahi kaha kay suraj chand ore sitray khuda hain tu logoon nein un ko khuda kesay maan leya ?? actually it's in humen nature kay hum kisi na kisi higher unseen or seen power kay ghulam rehna chahta hai esee leye shehanshahi system nikla ....zamana jahalat mein jub koi taufaan aata tha ya koi aesi bemari jis ka unheen pata nahi hota tha jis ka woe mukabala nahi kaar saktay thay tu woe uss ko apnay sei zeyada koi takatwaar cheez samajtay thay ..kue kay woe cheez un ki samaj mein nahi aati thi ess leye woe samjatay thay kay ye cheez (may be usay be woe tuafaan ko be insaan he samajtay hoon) hum sei naraz hai ess leye hum paar ye tabahee ayee hai.....
just imagine tum ajj sei hazaroon saal pehlay ka koi insaan hoo tumheen nahi pata kay hava kya hai ..tuafaan kue aata hai..suraj kue nikalta hai..barish kue hoti hai.....tum kisi wadi mein ya pahaar paar jaha be tum rehti hoo waha shikaar karnay bahir nikli ho apni bhook mitanay kay leye kay achanak bohot zoor sei hava chalnay lugti hai darahaat hilnay lugtay hain pathar apni juga choor detay even tumharay apnay panoon be zameen paar mushkil sei rukhay ja rahay hain ....tum ye he samjoo gey koi tumheen apni takaat sei dhuka denay ki koshish kaar raha ...tum fight karoo gey ..ghunsay maroo gey ..latay chalaoo gey magar kuch nahi ho ga akeeer jub tum nakaam ho jaoo gey tu tumharay dil mein khuoof aana shuru ho jayee ga kue kay tum uss cheeez ka mukabala nahi kaar saki ...tum shikasat kha jaoo gey ore tum zameen paar beth jaoo gey ya kisi cheez ko mazbooti sei pakar looo gey ..tumharay dil mein ye khoaesh paeda ho gey koi tumheen ess musebaat sei nikalay tum kisi sei help mangnay ki koshish karoo gey magar kis sei ??? you don't know God ..tub tumm use cheeez sei madad mangoo gey jis nein tumheen ess haal ko pohanchahyaa hai ore jesay he tum madaad mangti ho woe tufaan bund ho jata hai hava ruk jati hai darahat thum jatay hain tum ko be kharay rehnay mein koi mushkil nahi rehti theek yahi sei tum aik mazhaab ki buneyaad ruk doe gey....tum apnay jesay dosray logoo ko bataoo gey kay tum nein kya kea tu woe sub ruk geya...halakay taufaan ki jitna time tha woe tu apnay time paar he ruka ....kuch believe kareen gey ore kuch nahi...phir kuch arsay kay baad vesa he taufaan phir aata hai ...tum tu dobara wohi karna shur kaar doe gey jo tum nein kea ore woe ruk geya magar jinhoo nein yakeen nahi kea wo uss kay halaaf lareen gey jesay woe sheer cheetay kay halaf lartay thay ore usay maar bhagatay thay magar ye kya ye tu kisi saurat mein shikast he nahi khata kay achanak kisi ko tumhari baat yaad aa jayee gey ..wo be wohi karnay ki koshish karay ga jo tum nein kaha tha ..thori deer baad taufaan thum jata hai kue kay usay tu thumna he tha magar woe taufaan un loogoon ki halat badal deta hai...woe shikast khana sekh jatay hain ore uss bala ko jo koi haar cheez ko tinkoo ki tarha bakheer deti hai koi higher unseen power tasleem kaar letay hain...ore tum ko aik honourable hasti maan letay hain kue kay uss sei najayeet ka rusta tu tum he nein dekhaa unheen....Here your are the philosoper who taught them how to deal with that storm..tum nein un sei muhtalif socha ore baat be un ki samaj mein aa geye...
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
sall jee mein nein apni ankoon sei aik shaks paar jin aatay dekha hai bohot sei logoon nein usay pakar rukha tha ore woe bed sei 5,5 feet upaar uthata tha ore phir wapis aata tha phir uthata tha ore phir wapis aata tha ore tum keh rahi ho jin bhoot kuch nahi kehtay
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
agar such pochoo tu i don't like philosophers ..there's no more philosophy left agar hamara ess baat paar yakeen ho kay khuda nein hameen paeda kea hai ore Muhammad(PBUH) khuda kay rasaool hain jinhoon nein hameen zindagi guzaranay ka tareeka batayaa hai...they taught us every thing that what is moon ,what is stars,what is sky, how to meet peoples ,how to deal with peoples,how to treat peoples...why God made us,what is good and what is bad....
the reason why i don't like philosophers is unhoon nein hamesha aandkhi cheezoo ko he apna mozoo banyaa jo cheezee un ki samaj mein nahi ayeen unhoon nein usay aesa bana kay paesh kea kay uss kay natejay mein logoon nein un cheezoon ko khuda samajana shuru kaar dea ...hava ,suraj,chand,sitaray,pahar ye sub logoon nein khuda bana leyee ...agar philosopher enn chezoo ki juga ess baray mein sochatay kay insaan ki basic zaroorat kya hai ...kesay pyar mohabaat sei raha ja sakta hai...tu ajj duniyaa ki halaat kuch ore he hoti...
kheer ye tu bohot lumbi behass hai agar tum ko shook hai ess tarha ki behass ka then you can talk with me warna mujay tu daar hai tum sei ye itna lumba parha be nahi jayee ga
Age: 125
7453 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
abb ye na keh dena they also do that but hameen nazar nahi aata ya phir ye jo kabi kabi kisi topic mein koi aesi post hoti hai jis mein kuch nahi likha hota ya only smiles hoti hain woe actually plants ore animals nein ki hoti hain